Thursday, 19 December 2013

bas yu hi..

sitaro ki darindagi ka andaza na tha..
hasinaao ki bewafai ka andaaza na tha..
hum to awara ghuma karte the,ishq ki galiyon me..
do pal ki hansi bhi,zindagi bhar rulayegi,andaaza na tha...

kar diya rukhsat apni hasin tamannao ko..
wo nazneen fir laut aayegi andaaza na tha..
zindagi to meri khatm ho hi chuki thi...
chain se maut bhi na aayegi,andaaza na tha...

No comments:

Post a Comment